Thursday, December 19, 2013

Woh Subah Kabhi To Aayegi......

Woh subah kabhi toh aayegi,  Woh subah kabhi toh aayegi.....
Woh subah kabhi toh aayegi,  Woh subah kabhi toh aayegi......

In kaali sadiyo ke sar se, Jab raat kaa aanchal dhalkega

Jab dukh ke badal pighalenge, Jab sukh ka sagar chhalkega,
Jab ambar jhoom ke naachega, Jab dharti nagme gaayegi,
Woh subah kabhi toh aayegi,  Woh subah kabhi toh aayegi

Jis subah ki khaatir jug jug se, Hum sab marr marr ke jeete hain
Jis subah ke amrit ki dhun me, Hum zehar ke pyaale peete hain,
In bhookhi pyaasi ruhon par, Ik din to karam farmaayegi,
Woh subah kabhi toh aayegi,  Woh subah kabhi toh aayegi

Maana ke abhi tere mere armaanon ki keemat kuchh bhi nahin,
Mitti ka bhi hai kuchh mol magar, Insaanon ki keemat kuchh bhi nahin,
Inasaanon ki izzat jab jhoothe sikkon mein naa tauli jaayegi
Woh subah kabhi toh aayegi,  Woh subah kabhi toh aayegi

Daulat ke liye jab aurat ki, Azmat ko naa becha jaayega,
Chaahat ko naa kuchla jayega, Gairat ko naa becha jaayega, 
Apni kaali kartooton pe jab ye duniya sharmayegi
Woh subah kabhi toh aayegi,  Woh subah kabhi toh aayegi

Beetenge kabhi to din aakhir, Ye bhookh ke aur bekaari ke,
Tootenge kabhi to but aakhir, Daulat ke jaaraadari ke,
Jab ek anokhi duniya ki buniyaad uthaayi jayegi
Woh subah kabhi toh aayegi, Woh subah kabhi toh aayegi

Majboor budhaapa jab sooni raahon ki dhool naa faankega,
Masoom ladakpan jab gandi galiyon mein bheekh naa maangega,
Haq maangne waalon ko jis din, Sooli naa dikhaayi jayegi,
Woh subah kabhi toh aayegi,  Woh subah kabhi toh aayegi.

Paapon ki chitaaon par jis din, Insaan naa jalaaye jaayenge,
Seenon ke dehakte do zakhmen, Armaan naa jalaaye jaayenge,  
Ye nark se bhi gandi duniya jab swarg banayi jayegi.
Woh subah kabhi toh aayegi,  Woh subah kabhi toh aayegi.

Woh subah kabhi toh aayegi,  Woh subah kabhi toh aayegi.
Woh subah kabhi toh aayegi,  Woh subah kabhi toh aayegi.

=========================================================
वो सुबह कभी तो आयेगी, वो सुबह कभी तो आयेगी
इन काली सदियों के सर से, जब रात का आँचल ढलकेगा
जब दुःख के बादल पिघलेंगे, जब सुख का सागर छलकेगा
जब अंबर झूम के नाचेगा, जब धरती नगमे गायेगी
वो सुबह कभी तो आयेगी, वो सुबह कभी तो आयेगी .......

जिस सुबह की खातिर जुग जुग से, हम सब मर मर कर जीते हैं
जिस सुबह के अमृत की धुन में, हम जहर के प्याले पीते हैं
इन भूखी प्यासी रूहों पर, एक दिन तो करम फर्मायेगी,
वो सुबह कभी तो आयेगी, वो सुबह कभी तो आयेगी .......

माना के अभी तेरे मेरे अरमानों की कीमत कुछ भी नहीं,
मिट्टी का भी हैं कुछ मोल मगर, इन्सानों की कीमत कुछ भी नहीं,
इन्सान की इज़्ज़त जब झूठे सिक्कों में ना तौली जायेगी,
वो सुबह कभी तो आयेगी, वो सुबह कभी तो आयेगी .......

दौलत के लिए जब औरत की अज़मत को ना बेचा जायेगा,
चाहत को ना कुचला जायेगा, गैरत को ना बेचा जायेगा,
अपनी काली करतूतों पे जब ये दुनिया शर्मायेगी,
वो सुबह कभी तो आयेगी, वो सुबह कभी तो आयेगी .......

बीतेंगे कभी तो दिन आखिर, ये भूख के और बेकारी के, 
टूटेंगे कभी तो दिन आखिर, दौलत के जरादारी के,
जब एक अनोखी दुनिया की बुनियाद उठायी जायेगी,
वो सुबह कभी तो आयेगी, वो सुबह कभी तो आयेगी .......

मजबूर बुढ़ापा जब सूनी राहों की धुल ना फांकेगा, 
मासूम लड़कपन जब गन्दी गलियों में भीख ना मांगेगा 
हक मांगने वालों को जिस दिन, सूली ना दिखाई जायेगी,
वो सुबह कभी तो आयेगी, वो सुबह कभी तो आयेगी .......

पापों की चिताओं पर जिस दिन, इंसान ना जलाये जायेंगे,
सीनों के देहाकते दो ज़ख्में, अरमान ना जलाये जायेंगे,
ये नर्क से भी गन्दी दुनिया जब स्वर्ग बनायीं जाएगी,
वो सुबह कभी तो आयेगी, वो सुबह कभी तो आयेगी .......

वो सुबह कभी तो आयेगी, वो सुबह कभी तो आयेगी .......
वो सुबह कभी तो आयेगी, वो सुबह कभी तो आयेगी .......




=========================================================

Tu Zinda Hai To Zindagi Ki Jeet Pe

Tu zinda hai to, Zindagi ki jeet mein yaqeen kar,
Agar kahin hai swarg to, Utaar la zameen par, Tu zinda hai...

Ye gham ke aur chaar din, Sitam ke aur chaar din,
Ye din bhi jaayenge ghuzar, Ghuzar gaye hazaar din.
Kabhi to hogi is chaman pe bhi bahaar ki nazar,
Agar kahin hai swarg to, Utaar la zameen par, Tu zinda hai...

Subah-o-shaam ke rang hue gagan ko choomkar 
Tu sun zameen gaa rahi hai kab se jhoom jhoom kar 
Tu aa mera singaar kar, Tu aa mujhe haseen kar 
Agar kahin hai swarg to, Utaar laa zameen par, Tu zinda hai..

Hazaar bhes dhar key aayi maut tere dwaar par
Magar tujhey na chhal saki, Chali gayi woh haar kar
Nayi subah ke sang sadaa mile tujhe nayi umar
Agar kahin hai swarg toh utaar laa zameen par, Tu zinda hai.....

Hamare caravan ko manzilon ka intezaar hai,
Ye aandhiyon, ye bijaliyon ki peeth par sawar hai.
Tu aa kadam mila ke chal, chalenge ek saath hum,
Agar kahin hai swarg to utaar la zameen par, Tu zinda hai...



Wednesday, December 18, 2013

Sau Mein Sattar Aadmi

Sau mein sattar aadami filhaal jab nashaad hain
Dil pe rakh kar kaath kahiye desh kya aazad hai

Kothiyon se mulk ki mayaar ko mat aankiye
Asli Hindustan to footpath pe aabaad hai

Reh gayi hai jo ulajh kar fileon ke jaal mein
Roshni us gaon tak pahunchegi kitne saal mein

Mere seene mein nahi to tere seene mein sahi
Ho kaheen bhi aag lekin aag jalni chahiye

Sirf hungama khada karna mera maksad nahi
Apni koshish hai ki ye soorat badalni chahiye…

Sau mein sattar aadami filhaal jab nashaad hain
Dil pe rakh kar kaath kahiye desh kya aazad hai

Ek chingaari kahin se dhoond laao doston
Is diye mein tel se bheegi hui baati to hai…